Its All About Feelings
Roman Poetry, Designed Poetry, Novels, Morning Sms, Night Sms, Jokes & Many More (You Can Share Your Choice With Us)
Ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha
Mohabat jab laho ban kar
ragoon main sar sara-ay to
koi bhola hua chehra
achanak yaad aye to
kadam mushkil se uthte hon
irada dagmagay to
koi madham se lahje main
tumhain wapis bola-ay to
thehar jana
samjah lana
ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha
kabhi tanhaiyon ka dard
ankhon main sama-ay to
koi lamha ghuzishta chahatoon ka
jab sata-ay to
kisi ki yaad main rona
tumhain bhi khon rula-ay to
agar tum se tumhara dil
kisi dam roth jay to
kabhi anhoniyoon ka dar
parindoon ko urhae to
hawa jab darkht se ik zard sa
patta gira-ay to
thahr jana
samjah lana
Ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha
...........................................................................

zalim tha wo aur zulm ki adat bhi bohot thi
zalim tha wo aur zulm ki adat bhi bohot thi
majbor the hum us se muhabat bhi bohot thi
majbor the hum us se muhabat bhi bohot thi
us bott ke sitam sah ke dekha he diya hum ne
go apni tabiyat mein bagawat bhi bohot thi
waqif hi na tha ramz-e-muhabat se wo warna
dil ke liye thori si inayat bhi bohot thi
yon hi nahin mashhor-e-zamana mera qatil
us shaKhs ko is fan mein maharat bhi bohot thi
kya daur-e-Gazal tha ke lahu dil mein bohot tha
aur dil ko lahu karane ki fursat bhi bohot thi
har sham sunate the hasiinon ko Gazal hum
jab maal bohot tha to saKhawat bhi bohot thi
bolawa ke hum 'Ajiz' ko pasheman bhii bahut hain
kya ki-jiye kambaKht ki shohrat bhi bohot thi
.......................................................................
khush-hal sy tum bhi lagty ho, yon afsurda to hum bhi nahin
khush-hal say tum bhi lagty ho, yon afsurda to hum bhi nahin
per jan-nay walay janty hain , khush hum bhi nahin khush tum bhi nahin
tum apni khudi kay pahray main, or dam-e-ghoror main jakray huay
per jan-nay walay janty hain , khush hum bhi nahin khush tum bhi nahin
tum apni khudi kay pahray main, or dam-e-ghoror main jakray huay
hum apny za-am kay narghay main , ana hath hamaray pakray huay
ik muddat say ghaltan paychan, tum rabt-o-guraiz kay dharon main
hum apnay aap say uljhay hoaye, pachtaway kay angaron main
mahsor-e-talatum aaj bhi ho, go tum nay kinaray dhoond liay
tofan say sanbhlay hum bhi nahin, kahnay ko saharay dhond liay
khamosh say tum hum mohar ba-lab, jug beet gaye tak baat kiay
suno khail adhora chortay hain, bina chaal chaly bina maat kiay
jo bhagty bhagty thak jain, wo sa-ey ruk bhi sakty hain
chalo toro qasam iqrar karain, hum dono jhuk bhi sakty hain

....................................................................................................
Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya
ose yaad kar ke na dil dukha, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
nayii subh hai nayii sham hai naya shahar hai naya naam hai
woh chala gaya ose bhool jaa, jo guzar gaya wo guzar gaya
koii aye ga koi jaye ga koi jaye ga koii aye ga
suno raston ki sada suno, jo guzar gaya wo guzar gaya
tere pas tera habib hai, jo nahen mila wo naseb hai
koi phol kehta hai muskura, jo guzar gaya wo guzar gaya
mujhe patt charon ki kahaniyan na suna suna ke udas kar
naye mosamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya
yahan aitibar o yaqeen hai ye haqeeqaton ki zameen hai
zara dair ka koi khwab tha, jo guzar gaya wo guzar gaya
.................................................................................................
Dard Apnata Hai Para-ae Kon
dard apnata hai para-ae kon
kon sunata hai aur suna_ae kon
kon dohara_ae wo purani bat
Gham abhi soya hai jaga_ae kon
wo jo apne hain kya wo apne hain
kon dukh jhele aazama_ae kon
ab sakon hai to bholane main hai
lekin us shakhs ko bhola_ae kon
aaj phir dil hai kuch udas udas
dekhiye aj yaad a-ae kon
kon sunata hai aur suna_ae kon
kon dohara_ae wo purani bat
Gham abhi soya hai jaga_ae kon
wo jo apne hain kya wo apne hain
kon dukh jhele aazama_ae kon
ab sakon hai to bholane main hai
lekin us shakhs ko bhola_ae kon
aaj phir dil hai kuch udas udas
dekhiye aj yaad a-ae kon
....................................................
Itni Mudat Bad Mile ho
itni mudat bad mile ho
kin sochon mein gum rehte ho
tez hawa ne mujh se pocha
reet pe kya likhte rehte ho
kon si bat hai tum main aisi
itne achche kyon lagte ho
hum se na pocho hijar ke qisse
apni kaho ab tum kesay ho
kin sochon mein gum rehte ho
tez hawa ne mujh se pocha
reet pe kya likhte rehte ho
kon si bat hai tum main aisi
itne achche kyon lagte ho
hum se na pocho hijar ke qisse
apni kaho ab tum kesay ho
..............................................
Ankhain Khob Roti Hain
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To Aakhain Khob Roti Hain
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Ankhain Khob Roti Hain
Tumharay bad Chahat K Sabhi Panchi Uray Ja-nah
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To Ankhain Khob Roti Hain
Teri Taswer, Adhoray Khat To Jala Diye Hum Nay
Ab Pani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Ankhain Khob Roti Hain
Ghata Aawargi Main Jab Siyah Chola Pehanti Hai
Parinday Jab Satatay Hain Tou Ankhain Khob Roti Hain
K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Ankhain Khob Roti Hain
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Ankhain Khob Roti Hain
Sahil Ki Woh Mitti Keh Jis Pay Khon Hathon Say
Wafa Likh Kar Mitatay Hain To Aakhain Khob Roti hian

raaz kii baten likhi aur Khat khula rahne diya
jane kyun rusavaiyon ka silsila rehne diya
umr bhar mere sath rah kar wo na samjha dil ki bat
do dillon ke daramiyan ik fasala rehne diya
apni fitrat wo badal paya na iske bawajud
Khatam ki ranjish magar gila rehne diya
main samjata tha Khushi degi mujhe "Sabir" fareb
is liye main ne Gamon se rabata rehne diya

........................................................................
itne dinon ke bad tu aya hai aaj
sochta hon kis tarah tujh se milun
mere andar jaag uthi ik chandanii
main zamin se aasaman tak ek ang hon
aur ujjla ho gaya qurbat kaa chand
aur gahara ho gaya tera fusun
ai saraapa rang-o-nikahat tu bata
kis dhanak se tera pairahan bonun
sare gul_bute tar-o-taza huye
dur tak pahonchi hai meri mauj-e-Khun
kar rahe hain lamhe lamhe ka hisaab
mil ke phir baiThe hain yaran-e-junun
dasht-e-Gam kii dhup main mujh par khula
main Khud apanaa saayaa-e-diivaar hun
naaz kar Khud par ki tu hai beshumar
qadr kar meri ki main bas ek hun

tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnahen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha
mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha
faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha
kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha
hum ajeeb tarz ke log thai hamare aur hi rog thai
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha
ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhar tha

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe
anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe
raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe
tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

Tu Mere Sath Chal Na Payegi
Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai
Apni MasooM TaMannaon Ko Rehbar Na Bana
Khwab Phir Khwab Hai Labon Ki Haqeeqat Kya Hai
Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Ayegi
Maine Mana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi
Apni MehruMi-E-QisMat Se Pareshan Hoon Main
Bebasi Ashq-E-NadaMat Ke Siwa Kya Degi
Waqt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi

.......................................................
Subscribe to:
Posts (Atom)