Its All About Feelings

Roman Poetry, Designed Poetry, Novels, Morning Sms, Night Sms, Jokes & Many More (You Can Share Your Choice With Us)

Ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha

Mohabat jab laho ban kar
ragoon main sar sara-ay to
koi bhola hua chehra
achanak yaad aye to
kadam mushkil se uthte hon
irada dagmagay to
koi madham se lahje main
tumhain wapis bola-ay to
thehar jana
samjah lana
ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha
kabhi tanhaiyon ka dard
ankhon main sama-ay to
koi lamha ghuzishta chahatoon ka
jab sata-ay to
kisi ki yaad main rona
tumhain bhi khon rula-ay to
agar tum se tumhara dil
kisi dam roth jay to
kabhi anhoniyoon ka dar
parindoon ko urhae to
hawa jab darkht se ik zard sa
patta gira-ay to
thahr jana
samjah lana
Ke ab wapis paltne ka amal aghaaz hota ha

...........................................................................

No comments:

Post a Comment