main hosh main tha to phir us pay mar gaya kesay
yeh zehar mery lahoo main utar gaya kesay
koch us kay dil main lagawat zaroor thi warna
wo mera hath daba kar guzar gaya kesay
jisay bholaiy kai saal ho gaiy "kamil"
main aj us ki gali say guzar gaya kesay