ose yaad kar ke na dil dukha, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
nayii subh hai nayii sham hai naya shahar hai naya naam hai
woh chala gaya ose bhool jaa, jo guzar gaya wo guzar gaya
koii aye ga koi jaye ga koi jaye ga koii aye ga
suno raston ki sada suno, jo guzar gaya wo guzar gaya
tere pas tera habib hai, jo nahen mila wo naseb hai
koi phol kehta hai muskura, jo guzar gaya wo guzar gaya
mujhe patt charon ki kahaniyan na suna suna ke udas kar
naye mosamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya
yahan aitibar o yaqeen hai ye haqeeqaton ki zameen hai
zara dair ka koi khwab tha, jo guzar gaya wo guzar gaya
.................................................................................................
No comments:
Post a Comment