Its All About Feelings

Roman Poetry, Designed Poetry, Novels, Morning Sms, Night Sms, Jokes & Many More (You Can Share Your Choice With Us)
itne dinon ke bad tu aya hai aaj
sochta hon kis tarah tujh se milun

mere andar jaag uthi ik chandanii
main zamin se aasaman tak ek ang hon

aur ujjla ho gaya qurbat kaa chand
aur gahara ho gaya tera fusun


ai saraapa rang-o-nikahat tu bata
kis dhanak se tera pairahan bonun


sare gul_bute tar-o-taza huye
dur tak pahonchi hai meri mauj-e-Khun

kar rahe hain lamhe lamhe ka hisaab
mil ke phir baiThe hain yaran-e-junun

dasht-e-Gam kii dhup main mujh par khula
main Khud apanaa saayaa-e-diivaar hun

naaz kar Khud par ki tu hai beshumar
qadr kar meri ki main bas ek hun

No comments:

Post a Comment