hone ko ye sab mumkin, milna tera na mumkin
nalon ka sar mumkin, taseer dua mumkin
is hone pe har she ke, kuch bhi na hua mumkin
is alam imkan mein kya hai jo hai namumkin
dhoondo to mile unqa, chaho, khuda mumkin
jis ko teri kwahish mein dunya se nahen matlab
os ke leye yaksan hai har mumkin o namumkin
be ja bhi sahi shikwa, gussa tumhaen kyon aya
mein bhi to bashr hi hon, insan se khata mumkin
do gaz hai zameen kafi, basti ho ke weerana
parr rehne ko jaa aasan, marmitne ko jaa mumkin
marna wo hi chahe ga, jeena jise mushkil ho
phir zaher hi kyon khate, hoti jo dawa mumkin
ai aarzoo an mein hon aur ishq ki ruswaee
khamosh bhi gar bethon chatcha na ho kya mumkin
......................................
No comments:
Post a Comment