Dhala Hai Chand, Lo Akhir-e-Shab Hai Ab So To Ja-ain
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Ja-ain
Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai
Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein
Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Ja-ain
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Ja-ain
Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Hum ne Mana Hai
Humein Aise Jo Dekhain Gay To Ab Bhi Na Pa-ain Gay
Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Ja-ain Gay

Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya
Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya?
Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab
Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Ja-ain

................................................................................
No comments:
Post a Comment